Click Here!

Poetry Mirza Ghalib

aa, ki meri jaan ko qaraar nahin hai

taaqat-e-bedaad-e-intazaar nahi hai

 [ qaraar = rest, bedaad = injustice ]

-------------------------------------------------------------

dete haiN jannat hayaat-e-dahar ke badle nashsha ba_andaaza-e-KHummaar naheeN hai

[ hayaat = life, dahar = world, ba_andaaza = according to,
          KHummaar = intoxication ]

-----------------------------------------------------------

giriya nikaale hai teree bazm se mujh ko

haay ! ki roone pe iKHtiyaar naheeN hai

[ giriya = weeping, iKHtiyaar = control ]

------------------------------------------------------------

hamse 'abas hai gumaan-e-ranjish-e-KHaatir KHaak meiN ushshaaq kee GHubaar naheeN hai

[ 'abas = indifferent, gumaan = suspicion, ranjish = unpleasantness,
          KHaak = ashes/dust, ushshaaq = lovers, GHubaar = clouds of dust ]

-------------------------------------------------------------

dil se uThaa lutf-e-jalva haay ma'anee GHair-e-gul aainaa-e-bahaar naheeN hai

[ ma'anee = meanings, GHair-e-gul = blossoms ]

-------------------------------------------------------------

qatl ka mere kiya hai 'ahad to baare waae ! akhar 'ahad ustuwaar naheeN hai

[ 'ahad = promise, baare = at last, ustuwaar = frim/determined ]

-------------------------------------------------------------

toone qasam mai_kashee kee khaaee hai 'GHalib' teree qasam ka kuchch 'eitbaar naheeN hai !

[ mai_kashee = boozing, 'eitbaar = trust/faith ]

-------------------------------------------------------------







0 टिप्पणियाँ:

एक टिप्पणी भेजें